Aaj Yaad Bohat Tum Aatey Ho
Aaj Halki Halki Barish Hai
Aur Sard Hawa Ka Raqs Bhi Hai..
Aaj Phool Bhi Nikhre Nikhre Hain
Aur Un Mein Tera Aks Bhi Hai..
Aaj Badal Kaly Gehrey Hain
Aur Chand Per Lakhon Pehrey Hain..
Kuch Tukrey Tumhari Yadoun Ke
Bari Dair Se Dil Mein Tehrey Hain..
Aaj Yadein Uljhi Uljhi Hain
Aur Ab Tak Ye Na Suljhi Hain..
Aaj Yaad Bohat Tum Aatey Ho
Such.. Mujhe Yaad Bohat Tum Aatey Ho
اور سرد ہوا کا رقص بھی ہے
آج پھول بھی نکھرے نکھرے ہے
اور ان میں تیرا عکس بھی ہے
آج بادل کالی گہرے ہے
اور چاند پر لاکھوں پہرے ہے
کچھ ٹکڑے تمہاری یادوں کے
بری دیر سے دل میں ٹہرے ہیں
آج یادیں الجھی الجھی ہے
اور اب تک یہ نہ سلجھی ہے
آج یاد بہت تم آتے ہو
سچ مجھے یاد بہت تم آتے ہو
