Har Pal Sochta Hoon Tujhay Bhula Doon Ga Main
Har Pal Sochta Hoon Tujhay Bhula Don Ga Main
Teri Har Yaad Ko Apnay DIL Say Mita Don Ga Main
Jo Tu Milay Ga Dunya Ki Bheer Main Bhi Kabhi Tu
Ajnabi Ki Tarah Dekh Kar Aankhay Chura Lon Ga Main
Teri Kahi Koii Baat Bhi Yaad Na Rahay Gi Ab Mujhay
Teri Pyaar Say De Hoii Har Cheez Jala Don Ga Main
Chahay Jal Jaa’on Main, Chahay Jal Jaye Mera DIL
Per Teray Bina Bhi Jee Kar Dikha Don Ga Main
Aaye Gi Jab Bhi Tu Aanso Ban Kar Aankhon Main Kabhi
Andar Say Toot Jaa’on Chahay Per In Ko Sukha Don Ga Main
Na Aanay Don Ga Aansoo Kabhi Aankhon Main Teray Naam Ki
Dekhna Ab Ki Baar Esa Be-Wafa Ho Jao Ga Main
Kuch aur Shayari
Facebook comments:
