Her Gharri Manzar Badalta Hai
Kabhi Rahzan Badalta Hai, Kabhi Rahbar Badalta Hai
Libas-e-Fakhira Ki Arzu Tu Sab Ko Hai Lekin
Kahaan Malboos Ke Andar Koi Paiker Badalta Hai
Tum Ek Insaan Ke Badlay Huey Taiwar Pe Hairaan Ho
Ye Woh Mosam Hai Ke Panchi Bhi Apnay Par Badalta Hai
Chatanon Se Usay Mein Ne Muhabbat Se Tarasha Hai
Bas Ab Ye Dekhna Hai Ke Rang Pathar Kab Badalta Hai
Usay Tu Shoq Hai Yun Her Dil Main Ja Ke Theherney Ka
Woh Kuch Hi Roz Main Ukta Ke Apna Ghar Badalta Hai
Agar Malik Ke Dar Se Janwar Jata Nahi Tu Phir
Ye Insaan Kesa Insaan Hai Jo Itne Dar Badalta Hai…!!
کبھی رہزان بدلتا ہے کبھی رہبر بدلتا ہے
لباسِ فکيرا کی آرزو تو سب کو ہے لیکن
کہاں ملبوس کے اندر کوئی پیکر بدلتا ہے
تم ایک انسان کے بدلے ہوے تیور پے حیران ہو
یہ وہ موسم ہے کے پنچھی بھی اپنے پر بدلتا ہے
چٹانوں سے اُسے میں نے محبّت سے تراشا ہے
بس اب یہ دیکھنا ہے کے رنگ پتھر کب بدلتا ہے
اسے تو شوق ہے یوں ہر دل میں جا کے ٹھہرنے کا
وہ کچھ ہی روز میں اکتا کے اپنا گھر بدلتا ہے
اگر مالک کے در سے جانور جاتا نہیں تو پھر
یہ انسان کیسا انسان ہے جو اتنے در بدلتا ہے
Kuch aur Shayari
Facebook comments:
