Janat nazir hai meri Maa
Janat nazir hai meri Maa
rehmat ki tasveer hai meri Maa
mein aik khowab hoon zindagi ka
jis ki tahbeer hai meri Maa
Zindagi key Khatiin rasto mein
Mashal-i-rah hai meri Maa
merey her gham, her dard mein
aik niya josh, walwala hai meri Maa
Meri haar meri nakaami wabasta mujh sey hai
meri jeet meri kamyaabi ka raaz hai meri Maa
Chupa leti hai her zakham ko wo marham ki tarha
Merey her dard her gham ki dawa hai meri maa
Dunya mein nahein hai koi nehm-ul-badal uska
Mamta mein hai mukamal faqat meri Maa